Ab Is Qadar Bhi Badal Jaega KHabar Nahin Thi

ab is qadar bhī badal jā.egā ḳhabar nahīñ thī

fanā se duur nikal jā.egā ḳhabar nahīñ thī

mire badan kī harārat utārne vaalā

mirī tapish se pighal jā.egā ḳhabar nahīñ thī

vo ibtidā-e-mohabbat ke pahle lamhe ko

banā ke āḳhirī pal jā.egā ḳhabar nahīñ thī

baḌhegī luqma-e-dil se bhī aage us kī havas

ye nafs tan ko nigal jā.egā ḳhabar nahīñ thī

gilā thā ātish-e-nok-e-qalam se kāġhaz ko

magar siyāhī se jal jā.egā ḳhabar nahīñ thī

samajh rahe the jise naqsh-bar-sarāb kabhī

vo mauj ban ke uchhal jā.egā ḳhabar nahīñ thī

bahut thā sāya-e-abr-e-ġhubār-e-dasht magar

zarā sī der meñ Dhal jā.egā ḳhabar nahīñ thī

ye sañg-e-ḳhvāb ‘shafaq’ aañkh ke pasīne par

kisī bhī vaqt phisal jā.egā ḳhabar nahīñ thī

Leave a Comment