ab dard ka suraj kabhi dhalta hi nahin hai
ab dil koi pahlu ho sambhalta hi nahin hai
bechain kiye rahti hai jis ki talab-e-did
ab baam pe vo chand nikalta hi nahin hai
ik umr se duniya ka hai bas ek hi aalam
ye kya ki falak rang badalta hi nahin hai
nakam raha un ki nigahon ka fusun bhi
is vaqt to jaadu koi chalta hi nahin hai
jazbe ki kaḌi dhuup ho to kya nahin mumkin
ye kis ne kaha sang pighalta hi nahin hai
Leave a Reply