• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Bhi Ek Umr Pe Jine Ka Na Andaz Aaya

Ab Bhi Ek Umr Pe Jine Ka Na Andaz Aaya

shad-azimabadi

ab bhi ik umr pe jiine ka na andaz aaya

zindagi chhod de pichha mira main baaz aaya

muzhda ai ruuh tujhe ishq sa dam-saz aaya

nakbat-e-faqr gai shah-e-sar-afraz aaya

paas apne jo naya koi fusun-saz aaya

ho rahe us ke hamen yaad tira naaz aaya

piite piite tiri ik umr kati us par bhi

piine vaale tujhe piine ka na andaz aaya

dil ho ya ruuh o jigar kaan khade sab ke hue

ishq aaya ki koi mufsida-pardaz aaya

le raha hai dar-e-mai-khana pe sun-gun vaaiz

rindo hushyar ki ik mufsida-pardaz aaya

dil-e-majbur pe is tarah se pahunchi vo nigah

jaise usfur pe par tol ke shahbaz aaya

kyuun hai khamosh dila kis se ye sargoshi hai

maut aai ki tire vaste hamraz aaya

dekh lo ashk-e-tavatur ko na puchho mira haal

chup raho chup raho is bazm men ghammaz aaya

is kharabe men to ham donon hain yaksan saaqi

ham ko piine tujhe dene ka na andaz aaya

naala aata nahin kan-ras hai faqat ai bulbul

mard-e-sayyah huun sun kar tiri avaz aaya

dil jo ghabrae qafas men to zara par kholun

zor itna bhi na ai hasrat-e-parvaz aaya

dekhiye nala-e-dil ja ke lagae kis se

jis ka khatka tha vahi mufsida-pardaz aaya

muddai basta-zaban kyuun na ho sun kar mire sher

kya chale sehr ki jab sahib-e-ejaz aaya

rind phailae hain chullu ko takalluf kaisa

saqiya dhaal bhi de jaam khuda-saz aaya

na gaya par na gaya shama ka rona kisi haal

go ki parvana-e-marhum sa dam-saz aaya

ek chupki men gulu tum ne nikale sab kaam

ghamza aaya na karishma na tumhen naaz aaya

dhyan rah rah ke udhar ka mujhe dilvata hai

dam na aaya mire tan men koi dam-saz aaya

kis tarah maut ko samjhun na hayat-e-abadi

aap aae ki koi sahib-e-ejaz aaya

be-‘anis’ ab chaman-e-nazm hai viran ai ‘shad’

haae aisa na koi zamzama-pardaz aaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

hasrat-mohani

Ghatega Tere Kuche Mein Waqar Aahista Aahista

Kahin Main Kam Hun Abhi Tak Kahin Siwa Hun Main

Abhi Shab Hai Mai-E-Ulfat unDelen

Nalon Se Agar Maine Kabhi Kaam Liya Hai

poet

Aap Apni Bewafai dekhiye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet