• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ab Ahl-E-dard Ye Jine Ka Ehtimam Karen

Ab Ahl-E-dard Ye Jine Ka Ehtimam Karen

majrooh-sultanpuri

ab ahl-e-dard ye jiine ka ehtimam karen

use bhula ke gham-e-zindagi ka naam karen

fareb kha ke un ankhon ka kab talak ai dil

sharab-e-kham piyen raqs-e-na-tamam karen

gham-e-hayat ne avara kar diya varna

thi aarzu ki tire dar pe subh o shaam karen

na mangun bada-e-gul-gun se bhiik masti ki

agar tire lab-e-lalin mira ye kaam karen

na dekhen dair o haram su-e-rah-ravan-e-hayat

ye qafile to na jaane kahan qayam karen

hain is kashakash-e-paiham men zindagi ke maze

phir ek baar koi sai-e-na-tamam karen

sikhaen dast-e-talab ko ada-e-bebaki

payam-e-zer-labi ko sala-e-am karen

ghulam rah chuke toden ye band-e-rusvai

kuchh apne bazu-e-mehnat ka ehtiram karen

zamin ko mil ke sanvaren misal-e-ru-e-nigar

rukh-e-nigar se raushan charagh-e-bam karen

phir uth ke garm karen karobar-e-zulf-o-junun

phir apne saath use bhi asir-e-dam karen

miri nigah men hai arz-e-moscow ‘majruh’

vo sarzamin ki sitare jise salam karen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahryar

Kahne Ko To Har Baat Kahi Tere Muqabil

baiThe Hue Hain Hum KHud Aankhon Mein Dhul Dale

fahmida-riaz

Khakam-Ba-dahan

Hujum-E-Yas Mein Bhi Aas Jawedan Thahri

yasmeen-habeeb

Kisi Ke Sath Kiya Nisbat Hui Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet