puchhta hai to ki kab aur kis tarah aati huun main
god men nakamiyon ke parvarish paati huun main
sirf vo makhsus siine hain miri aram-gah
aarzu ki tarah rah jaati hai jin men ghut ke aah
ahl-e-gham ke saath un ka dard-o-gham sahti huun main
kanpte honton pe ban kar bad-dua rahti huun main
raqs karti hain isharon par mire maut-o-hayat
dekhti rahti huun main har-vaqt nabz-e-kaenat
khud-farebi badh ke jab banti hai ehsas-e-shuur
jab javan hota hai ahl-e-zar ke tevar men ghurur
muflisi se karte hain jab adamiyat ko juda
jab lahu piite hain tahzib-o-tamaddun ke khuda
bhuut ban kar nachta hai sar pe jab qaumi vaqar
le ke mazhab ki sipar aata hai jab sarmaya-dar
raste jab band hote hain duaon ke liye
aadmi ladta hai jab jhute khudaon ke liye
zindagi insan ki kar deta hai jab insan haram
jab use qanun-e-fitrat ka ata hota hai naam
ahrman phirta hai jab apna dahan khole hue
asman se maut jab aati hai par tole hue
jab kisanon ki nigahon se tapakta hai hiras
phutne lagti hai jab mazdur ke zakhmon se yaas
sabr-e-ayyubi ka jab labrez hota hai subu
soz-e-gham se khaulta hai jab ghulamon ka lahu
ghasibon se badh ke jab karta hai haq apna saval
jab nazar aata hai mazlumon ke chehron par jalal
tafraqa padta hai jab duniya men nasl-o-rang ka
le ke main aati huun parcham inqilab-o-jang ka
haan magar jab tuut jaati hai havadis ki kamand
jab kuchal deta hai har shai ko baghavat ka samand
jab nigal leta hai tufan badh ke kashti nuuh ki
ghut ke jab insan men rah jaati hai azmat ruuh ki
duur ho jaati hai jab mazduron ke dil ki jalan
jab tabassum ban ke honton par simatti hai thakan
jab ubharta hai ufuq se zindagi ka aftab
jab nikharta hai lahu ki aag men tap kar shabab
nasl qaumiyyat kalisa saltanat tahzib-o-rang
raund chukti hai jab in sab ko javani ki umang
subh ke zarrin tabassum men ayaan hoti huun main
rifat-e-arsh-e-barin se par-fishan hoti huun main
Leave a Reply