ashiq hue to ishq men hoshyar kyuun na the
ham in ke madah-ḳhvan sar-e-bazar kyuun na the
haan jab sitam ko ain karam kah rahe the log
ham bhi sharik-e-garmi-e-guftar kyuun na the
jab chal raha tha vaqt pe jaadu nigah ka
ik ham asir-e-chashm-e-fusun-kar kyuun na the
ab kya shahid-e-naz bane phir rahe hain log
marne ka shauq tha to sardar kyuun na the
‘varis’ ye sha.iri sam-e-qatil se kam nahin
aap is bala-e-jan se ḳhabar-dar kyuun na the
Leave a Reply