asan nahin hai tanha dar us ka baaz karna
lazim hai pasban se ab ham ko saaz karna
gar ham mushir hote allah ke to kahte
yaani visal ki shab ya rab daraz karna
us ka salam mujh se ab kya hai gardish-e-rau
tifli men main sikhaya jis ko namaz karna
az-bas-ki khuun dil ka khata hai josh har dam
mushkil hua hai ham ko ikhfa-e-raz karna
ba-yak-niyaz us se kyunkar koi bar aave
aata ho sau tarah se jis ko ki naaz karna
karte hain chot akhir ye ahuan-e-badmast
ankhon se us ki ai dil tuk ehtiraz karna
ai aah us ke dil men tasir ho to janun
hai varna kaam kitna patthar gudaz karna
hovegi subh raushan ik dam men vasl ki shab
band-e-qaba ko apne zalim na baaz karna
ai ‘mushafi’ hain do chiiz ab yad-gar-e-dauran
us se tu naaz karna mujh se niyaz karna
Leave a Reply