aarzu ko salam karte hain
dil ka qissa tamam karte hain
aa sakega na lab pe raz-e-ishq
husn ka ehtiram karte hain
is fareb-e-khayal ke sadqe
aap mujh se kalam karte hain
ai falak kuchh to chain lene de
do ghadi ko maqam karte hain
khaak bhi ab nahin shahidon ki
kyuun vo azm-e-khiram karte hain
sab hi dete hain jaan yuun ‘kaifi’
aap kya aisa kaam karte hain
Leave a Reply