aapsi baton ko aḳhbar nahin hone diya
ham ne ye kamra hava-dar nahin hone diya
bad-gumani ko kiya chaa.e pila kar ruḳhsat
nashte ka bhi talabgar nahin hone diya
dil ke zaḳhmon ki ḳhabar hone na di ashkon ko
gham ka ankhon se sarokar nahin hone diya
saḳht lafzon men bhi deti hai maza baat us ki
us ne lahje ko dil-azar nahin hone diya
rakh diye honTon pe ungli ki tarah honT us ne
ek shikva bhi numudar nahin hone diya
us ne nadan ho, kah kar hamen uksaya tha
umr bhar us ko samajhdar nahin hone diya
chahaten pa.in hain ‘mannan’ vafaon ke tufail
jazba-e-ishq ko ayyar nahin hone diya
Leave a Reply