kha ke kal ho pech-o-tab utha jo dil se naala tha
ja ke gardun pe chamakta shola-e-javvala tha
khvab men bosa liya tha raat ba-lab-e-nazuki
subh dam dekha to us ke honth pe but-khala tha
vaah ri afsurdagi is khatir-e-dil-gir ki
ashk ka qatra jo tapka chashm se so zhala tha
thi khayale-e-mah-rukhan se shab baghal labrez nuur
aab se khali va-lekin mai ba-rang-e-hala tha
kal ba-rang-e-ghuncha thi kis ko majal-e-guftugu
baat jab karta tha munh men dil ka yak parkala tha
bad-gumani se dara varna liya tera jo naam
dekhna bose ki khatir main lab-e-dallala tha
Leave a Reply