aap ko bhuul ke main yad-e-khuda karta huun
khud ana kahta huun maujud baqa karta huun
kufr-o-islam ka mujid hua banda ho kar
phir vo main kaun huun jo khud huun kaha karta huun
ilm-e-aadad se hota hai hijab-e-akbar
ek har haal men huun kul men raha karta huun
huun basarat men nihan uzr hai binai ka
roz-e-raushan men hi khud aap raha karta huun
be-samajh naam khuda ka vo liya karte hain
puchhta huun to ye kahte hain suna karta huun
jism-e-khaki na samajh yaar ka bas jalva hai
yaad aur bhuul se main dil ko ziya karta huun
main samajhta huun khuda aap ko banda ban kar
haan isi shaan ka ‘markaz’ huun kaha karta huun
Leave a Reply