aap apni zaat men simTa hua aalam tamam
tum ko yuun jaana ki tha jaana hua aalam tamam
kal to begana tha lekin aaj hai begana-tar
ik sar-e-angusht par rakkha hua aalam tamam
dastaras ka zikr kya hai agahi ki baat kya
ru-ba-ru hai gard men uḌta hua aalam tamam
gar badal jaate to thi duniya ki har shai hasb-e-hal
ham nahin badle to hai badla hua aalam tamam
janta huun main agar jaaga to ye so ja.ega
ab huun ḳhvabida to hai jaaga hua aalam tamam
ungliyon ke pech se pechida girhen tah-ba-tah
naḳhunon ke darmiyan uljha hua aalam tamam
ik miri ḳhatir jo the sab ke dua-go kya hue
uf ye mahrumi ki hai sahma hua aalam tamam
Leave a Reply