gham ki tha harif-e-jan ab harif-e-janan hai
ab vo zulf barham hai ab vo chashm giryan hai
vus.aton men daman ki in dinon gareban hai
ham-nafas kahin shayad mausam-e-baharan hai
rang-o-bu ke parde men kaun ye ḳhiraman hai
har nafas mo.attar hai har nazar gulistan hai
dair kya haram kya hai bandagi ye kya jaane
ham jahan pe hain vaa.iz kufr hai na iman hai
shukriya magar naseh tu ye ‘raz’ kya jaane
jaur barmala un ka iltifat pinhan hai
Leave a Reply