aao jo TuuTe hue ḳhvab hain taqsim karen
jis ki qismat men jo girdab hain taqsim karen
tum mire naam pe ji lena main tum par mar kar
jiine marne ke jo adab hain taqsim karen
ḳhushk ankhon men jo murjha ga.e un ki kaliyan
aas ke phuul jo shadab hain taqsim karen
vo nigahen bhi jo namnak thiin vaqt-e-ruḳhsat
muntazir aur jo be-ab hain taqsim karen
dast-e-halat pe maktub saja kar saare
ahd-e-mazi ke hasin baab hain taqsim karen
Leave a Reply