aansu ki ek buund palak par jami rahi
phir us ke ba.ad saari faza shabnami rahi
tark-e-ta.alluqat men us ki ḳhata bhi thi
thoḌi bahut vafa men idhar bhi kami rahi
badal ghamon ke kab se baras kar chale ga.e
ankhon men is sabab se abhi tak nami rahi
uupar se zaḳhm-e-hijr ko to ham ne bhar diya
andar se kaifiyat to magar matami rahi
yaran-e-rafta yuun bhi bahut tez-gam the
aur ham chale to paanv ki gardish thami rahi
Leave a Reply