aansu gira to kanch ka moti bikhar gaya
phir sub.h tak dupaTTa sitaron se bhar gaya
main chunari DhunDhti rahi aur itni der men
darvaze par khaḌa hua ik ḳhvab mar gaya
sarma ki chandni thi javani guzar ga.i
jhulsa rahi hai dhuup buḌhapa Thahar gaya
main raftagan ki baat pe be-saḳhta hansi
anjam us hansi ka bhi afsurda kar gaya
tum kah rahe ho hijr men marta nahin koi
phir kyon gham-e-juda.i men vo hans mar gaya
ḳhali gali men saare makan sochte rahe
is samt jis ko aana tha vo kis nagar gaya
in paniyon ko tishna-labon se gurez tha
chaḌhti nadi ka mast bahao utar gaya
thoḌi si der mil ke bahut der ro liye
phir apne ghar ko main ga.i vo apne ghar gaya
sauda tha sar men duur bahut duur ja basen
azm-e-safar kiya to mira ham-safar gaya
patthar ki murti bani main dekhti rahi
ghar pichhe rah gaya tha vo aage guzar gaya
Leave a Reply