• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Koi Payam Ab Na Payambar Hi Aaega

Koi Payam Ab Na Payambar Hi Aaega

koi payam ab na payambar hi aa.ega

vo shab hai asman se patthar hi aa.ega

ja kar vo apne shahr se us ko yaqin hai

paani pe koi naqsh bana kar hi aa.ega

itna badal gaya huun ki pahchanne mujhe

aa.ega vo to ḳhud se guzar kar hi aa.ega

be-dar ka ik makan rulata hai raat din

us ka bhi dil jo hoga kabhi bhar hi aa.ega

kya soch ke gaya hai ḳhalaon ki sair ko

ab ke parind lauT ke be-par hi aa.ega

ḳhushbu ka intizar na kar baiTh kar yahan

shishe ke is makan men patthar hi aa.ega

patthar koi faza men muallaq rahega kyuun

‘manzur’ tai hai ye kisi sar par hi aa.ega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Uski Aankhon Mein Tamanna-E-Sahar Rakh Dena

Wo ruKHsat Ki ghaDi Wo Dida-E-Nam Yaad Aate Hain

akhtar-muslimi

Nale Mere Jab Tak Mere Kaam Aate Rahenge

ain-tabish

Bazm Khaali Nahin Mehman Nikal Aate Hain

poet

Garmi Mere Kyun Na Ho Sukhan Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet