aḳhiri gaaḌi guzarne ki sada bhi aa ga.i
so raho be-ḳhvab ankho! raat aadhi aa ga.i
zindagi se siikh liin ham ne bhi duniya-dariyan
rafta rafta tum men bhi mauqa.a-parasti aa ga.i
sada-lauhi den jo qasbe ki thi ruḳhsat hui
shahr aana tha ki is men hoshiyari aa ga.i
ham mile the jaane kya afat-zada ruhen liye
guftugu auron ki thi aapas men talḳhi aa ga.i
apne hi gaanv ki sarhad par pahunch kar aaj ham
puchhte hain ham-safar! ye kaun basti aa ga.i
ab na zauq-e-rah-navardi hai na lutf-e-mandgi
aisa lagta hai ki manzil par savari aa ga.i
tark kyuun karte nahin ho karobar-e-arzu
‘ḳhanqahi’ ab to balon men safedi aa ga.i
Leave a Reply