akhiri baar andhere ke pujari sun len
main sahar huun main ujala huun haqiqat huun main
main mohabbat ka to deta huun mohabbat se javab
lekin aada ke liye qahr-o-qayamat huun main
mira dushman mujhe lalkar ke jaega kahan
khaak ka taish huun aflak ki dahshat huun main
Leave a Reply