• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaj Viraniyon Mein Mera Dil Naya Silsila Chahta Hai

Aaj Viraniyon Mein Mera Dil Naya Silsila Chahta Hai

aaj viraniyon men mira dil naya silsila chahta hai

shaam Dhalne ko hai zindagi ki ḳhuda aur kya chahta hai

dhuup ki niyyaton men bhaḌakne lage nafraton ke alaav

ai ghaTa is liye tujh ko mera badan oḌhna chahta hai

niind ki rahaton se nahin mutma.in silsila dhaḌkanon ka

phir dil-e-zar ra.ana.iyon men gundha ratjaga chahta hai

teri nazdikiyon ko pahan ke main shahzada lagne laga huun

chhu ke ranginiyan ab ke dekhun tiri jii, baḌa chahta hai

parvarish hauslon ki tamam umr mere lahu ne ḳhamoshi se ki

ab junun aks ko dekhne ke liye a.ina chahta hai

jo hatheli ki saari purani lakiron ko tabdil kar de

aisa ḳhush-rang har aadmi ab yahan saneha chahta hai

tum samundar ke sahme hue josh ko mera paigham dena

mausam-e-habs men phir koi aaj taaza hava chahta hai

umr bhar ansuon se jo dhota raha chehra mahrumiyon ka

vo tiri rahmaton se mire maula ab ke jaza chahta hai

naaz tha jis ko meri rifaqat ke har lamha-e-muḳhtasar par

aaj mahsus aisa hua hai ki vo fasla chahta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nigah-E-Naz Teri Jab Se Karsaz Nahin

Anasir Ki Ghani Zanjir Hai

poet

Be Faeda Rakhta Nahin Sar Hathon Par

ahmad-rahi

din Ko Rahte Jhil Par dariya Kinare Raat Ko

Mizhgan Hain Ghazab Abru-E-KHamdar Ke Aage

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet