aaj tak phirta raha main tujh men hi khoya hua
tujh se bichhḌa huun to ḳhud se mil liya achchha hua
zindagi ki chilchilati dhuup men aisa hua
muddaton ham par na teri yaad ka saaya hua
dil se shayad tera gham bhi ab juda hone ko hai
phir raha huun in dinon ḳhud se bhi main uljha hua
tum chamakti car phulon ki mahak ik ajnabi
aise lagta hai ye manzar hai mira dekha hua
reza reza ho gaya main to ne jab avaz di
teri ḳhamoshi se tha main is qadar TuuTa hua
kitni yaden ansuon men tharthara kar rah ga.iin
us ne jab puchha kaho ‘azad’ tum ko kya hua
Leave a Reply