aaj kyuun ham se parda hai
tera har rang ham ne dekha hai
tera har dhang ham ne dekha hai
haath khele hain teri zulfon se
aankh vaqif hai tere jalvon se
tujh ko har tarah azmaya hai
pa ke khoya hai kho ke paaya hai
ankhdiyon ka bayan samajhte hain
dhadkanon ki zaban samajhte hain
chudiyon ki khanak se vaqif hain
chhagalon ki chhanak se vaqif hain
naz-o-andaz jante hain ham
tera har raaz jante hain ham
aaj kyuun ham se parda hai
munh chhupane se faeda kya hai
dil dukhane se faeda kya hai
uljhi uljhi laten sanvar ke aa
husn ko aur bhi nikhar ke aa
narm galon men bijliyan le kar
shokh ankhon men titliyan le kar
aa bhi ja ab ada se lahrati
ek dulhan ki tarah sharmati
tu nahin hai to raat suuni hai
ishq ki kaenat suuni hai
marne valon ki zindagi tu hai
is andhere ki raushni to hai
aaj kyuun ham se parda hai
aa tira intizar kab se hai
har nazar be-qarar kab se hai
shama rah rah ke jhilmilati hai
saans taron ki duubi jaati hai
tu agar mehrban ho jaae
har tamanna javan ho jaae
aa bhi ja ab ki raat jaati hai
ek ashiq ki baat jaati hai
khair ho teri zindagani ki
bhiik de de hamen javani ki
tujh pe sau jaan se fida hain ham
ek muddat ke ashna hain ham
aaj kyuun ham se parda hai
Leave a Reply