aaj ke daur men mohabbat kya
kis ne jaana hai is ki izzat kya
ho sikandar ya koi shah-jahan
kaam aa.i kisi ke daulat kya
qadr maan ki jo kar nahin sakta
jaane kya hoti hai ye jannat kya
dil mira mangte ho kyuun aḳhir
karna hai us ki bhi tijarat kya
jis pe jaa.ez zakat hai vaa.iz
aap ke paas hai vo daulat kya
mol tera bata main kya de duun
janta hai to apni qimat kya
chain hai amn hai ḳhushi hai yahan
hai ye daulat tiri badaulat kya
pyaar ki aankh hi nahin ‘panchhi’
kaun dekhega dil ki halat kya
Leave a Reply