aaina dekha to surat apni pahchani gai
bhuul hi baithe the khud ko umr arzani gai
jante hain is talatum-khez dariya ki ada
ik hamara naam sun kar mauj-e-sailani gai
ik charagh-e-dil bacha tha aur sannate ki shab
zau-fishan taron ki maddham khvab-afshani gai
kaun hai jo ji sakega moajizon se sanehe
us nigah-e-shauq ki ham par mehrbani gai
aaj shayad duub kar us ne kiya hai ham ko yaad
is hava-e-sard ki rangin nadani gai
kis qadar tanha hai dil is ajnabi si raah par
baghban ki jo navazish thi nigahbani gai
ab mujhe is dil ke lutne ka nahin koi malal
vaae shauq-e-dil salamat ho pashemani gai
janiye kya kya dukhon ne gher kar rusva kiya
chashm-e-tar men dubte taron ki hairani gai
Leave a Reply