• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaghaz-E-Mohabbat Mein Barson Yun Zabt Se Humne Kaam Liya

Aaghaz-E-Mohabbat Mein Barson Yun Zabt Se Humne Kaam Liya

aghaz-e-mohabbat men barson yuun zabt se ham ne kaam liya

jab huuk kaleje men uTThi to hathon se dil thaam liya

us rashk ke hathon ek na ik har roz hi daagh uThate rahe

ham choT jigar par kha baiThe jab ghair ne tera naam liya

ankhen vo jhuken milte milte rahe hosh-o-ḳhirad jaate jaate

kuchh sharm ne un ko rok liya kuchh zabt ne ham ko thaam liya

insan ki thi ye tab-o-tavan jo bar-e-mohabbat uTha sakta

ek ye bhi hai ehsan tira kya us se tu ne kaam liya

sahra men ThanDe vaqt hamen yaad aa.i jo us ki jalvagari

kuchh aisi hui vahshat dil ko dam ja ke zer-e-bam liya

aur us ke siva kuchh kah na sake puchha jo kisi ne haal hai kya

ankhon se aansu bahne lage hathon se kaleja thaam liya

luuTa teri donon ankhon ne paaya jo mire dil ko tanha

jo ek ne sabr shakeb liya to ek ne chain aram liya

ab tak to ḳhabar li us ne miri jis vaqt koi uftad paḌi

jab Thokaren kha kar girne laga haath us ne lapak kar thaam liya

ham laa.en kahan se vo ankhen jo tum ko pasheman dekh saken

ab kaisi nadamat jab ham ne sab apne sar ilzam liya

mahrumi-e-qismat kya kahiye ehsan kiya kab saaqi ne

paimana-e-umr chhalak hi gaya jab haath men apne jaam liya

mauzun jo hue jazbat-e-dil jab sher-e-‘hafiz’ paḌha ham ne

sunte hi donon hathon se same.a ne kaleja thaam liya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Falsafi Kis Liye Ilzam-E-Fana Deta Hai

Tez-Rau Pani Ki Tikhi Dhaar Par Bahte Hue

Zamin-E-Hijr Mein Gardan Talak gaDa Hua Hun

Ye Log Jis Se Ab Inkar Karna Chahte Hain

poet

In Ne Pahle-Hi-Pahal Pi Hai Sharab Aaj Ke din

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet