tira-o-tar zaminon ke ujale dariya
ham ne sahraon ke siine se nikale dariya
vadiyan aa.en to aram se so jaate hain
faslon se na kabhi harne vaale dariya
chahte the ki phiren ru-e-zamin par har su
ban ga.e raah men gharon ke nivale dariya
tujh se chhuTne pe tire dhyan ki aghosh mili
kar gaya mujh ko samundar ke havale dariya
ai zamin suukh rahe hain tire pyase jangal
kya hue hain tiri aghosh ke paale dariya
kis tarah dard ka tufan mire siine men thame
kis tarah apni ravani ko sambhale dariya
Leave a Reply