• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaghaz-E-Ishq Umr Ka Anjam Ho Gaya

Aaghaz-E-Ishq Umr Ka Anjam Ho Gaya

ismail-merathi

aghaz-e-ishq umr ka anjam ho gaya

nakamiyon ke gham men mira kaam ho gaya

tum roz-o-shab jo dast-ba-dast-e-adu phire

main paemal-e-gardish-e-ayyam ho gaya

mera nishan mita to mita par ye rashk hai

vird-e-zaban-e-khalq tira naam ho gaya

dil chaak chaak naghma-e-naqus ne kiya

sab paara paara jama-e-ehram ho gaya

ab aur dhundiye koi jaulan-gah-e-junun

sahra ba-qadr-e-vusat-e-yak-gam ho gaya

dil pech se na turra-e-pur-kham ke chhut saka

bala-ravi se murgh tah-e-dam ho gaya

aur apne haq men taan-e-taghaful ghazab hua

ghairon se multafit but-e-khud-kam ho gaya

tasir-e-jazba kya ho ki dil iztirab men

taskin-pazir bosa-ba-paigham ho gaya

kya ab bhi mujh pe farz nahin dosti-e-kufr

vo zid se meri dushman-e-islam ho gaya

allah-re bosa-e-lab-e-mai-gun ki aarzu

main khaak ho ke durd-e-tah-e-jam ho gaya

ab tak bhi hai nazar taraf-e-bam-e-mah-vash

main garche aftab-e-lab-e-bam ho gaya

ab harf-e-na-saza men bhi un ko daregh hai

kyuun mujh ko zauq-e-lazzat-e-dushnam ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sunte Rahte Hain Faqat Kuchh Wo Nahin Kah Sakte

Kuchh Der Sadgi Ke Tasawwur Se haT Ke Dekh

insha-allah-khan-insha

dekhna Jab Mujhe Kar Shan Ye Gali dena

Koi Naghma Banun Chandni Ne Kaha Chandni Ke Liye Ek Taza Ghazal

Kyun Dekhiye Na Husn-E-KHuda-Dad Ki Taraf

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet