aag se sairab dasht-e-zindagani ho gaya
sho.ala-e-dil aankh men aaya to paani ho gaya
dard siine men uTha mathe pe shiknen paḌ ga.iin
rang chehre ka sada-e-be-zabani ho gaya
teri ankhen aa.ina hathon men le kar aa ga.iin
ru-ba-ru ho kar tire main apna saani ho gaya
jab bhaḌak uTTha tha tere qurb se mera badan
naam un hassas lamhon ka javani ho gaya
kar diya tha main ne jo avara patton par raqam
raaz vo rusva havaon ki zabani ho gaya
ek an-miT raushni tha arsh ki mehrab par
aadmi ke ruup men aa kar main faani ho gaya
jin ke sinon men dhaḌakta tha ‘muzaffar’ mera dil
aaj main un ke liye bhuli kahani ho gaya
Leave a Reply