aag hai paani hai miTTi hai hava hai mujh men
aur phir manna paḌta hai ḳhuda hai mujh men
ab to le de ke vahi shaḳhs bacha hai mujh men
mujh ko mujh se jo juda kar ke chhupa hai mujh men
jitne mausam hain sabhi jaise kahin mil jaa.en
in dinon kaise bata.un jo faza hai mujh men
aa.ina ye to batata hai main kya huun lekin
aa.ina is pe hai ḳhamosh ki kya hai mujh men
ab to bas jaan hi dene ki hai baari ai ‘nur’
main kahan tak karun sabit ki vafa hai mujh men
Leave a Reply