aag hai aag tiri tegh-e-ada ka paani
aise paani ko main hargiz na kahunga paani
na rahe aankh men bhi dil se nikal kar aansu
ja-ba-ja un ko liye phirta hai daana paani
haal puchho na mire girya-e-gham ka mujh se
us ke kahne se bhi hota hai kaleja paani
soz-e-gham hi se miri aankh men aansu aa.e
sochta huun ki ise aag kahun ya paani
tark-e-mai-ḳhana gavara na karunga hargiz
raas hai meri tabi.at ko yahan ka paani
kar diya sab ko tire tir-e-nazar ne sairab
jis ke siine pe laga us ne na manga paani
aish dam bhar ka bhi dekha nahin jaata us se
charḳh-e-kam-baḳht ki ankhon men na utra paani
tere hi jalve se hai bagh-e-tamanna ki bahar
yahi tanvir hai a.ina-dil ka paani
ḳhalish-e-gham se kiye ja.un kahan tak naale
meri qismat men to har roz ye iiza paani
Duub jaate hain umidon ke safine is men
main na manunga ki aansu hai zara sa paani
zabt-e-girya se baḌhi aur musibat ai ‘josh’
dil ye kahta hai ki ab sar se hai uncha paani
Leave a Reply