uth subh hui murgh-e-chaman naghma-e-sara dekh
nur-e-sahar-o-husn-e-gul-o-lutf-e-hava dekh
do-char farishton pe bala aaegi na-haq
ai ghairat-e-nahid na ho naghma-sara dekh
minnat se manate hain mujhe main nahin manta
auza-e-malak dekh aur atvar-e-gada dekh
gar bul-havasi yuun tujhe bavar nahin aati
ik martaba aghyar ke qaabu men tu aa dekh
itni na badha paki-e-daman ki hikayat
daman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh
ik dam ke na milne pe nahin milte hain mujh se
ai ‘shefta’ mayusi-e-ummid-e-faza dekh
Leave a Reply