mira din ḳhubsurat yuun bana deta to kya hota
vo ham ko pyaar se aa kar jaga deta to kya hota
bahut va.ade kiye the aap ne to saath rahne ke
mohabbat men agar ik do nibha dete to kya hota
mira is shab ki tariki se dil bechain hota hai
ruḳh-e-anvar se vo parda haTa dete to kya hota
musavvir huun tasavvur aap ki tasvir hai mera
tumhen gar apni yadon se miTa dete to kya hota
main kab se muntazir tha aap ki nazar-e-karamat ka
jo lamhe bhar ko hi chehra dikha dete to kya hota
ajab ye shauq hai galiyon men teri roz aata huun
tiri rahon men hi ghar ko bana dete to kya hota
main apne zaḳhm ḳhud hi dekh kar ḳhud se ye kahta huun
vo hans kar Taal jaate hain saza dete to kya hota
hai un ki sha.iri ka bhi bahut charcha zabanon par
ghazal ham ko bhi vo ‘haidar’ suna dete to kya hota
Leave a Reply