aa.e the kyuun sahra men jugnu ban kar
tapti lu men halki si ḳhushbu ban kar
chalna, rukna donon men barbadi hai
dasht-e-vafa men aa.e to ho aahu ban kar
kuchh to ajab hai varna aaj ki duniya men
rahta kaun hai kis ka ab baazu ban kar
a.ina-ḳhana dil ka tab mismar hua
aa.i haqiqat samne jab jaadu ban kar
saara zamana sar ankhon par leta hai
rusva huun ghar men apne urdu ban kar
kuchh to junun ko apne taghayyur karna tha
ḳhun-e-jigar hi bah nikla aansu ban kar
ruuh men bhi kya utre hain ma.ani is ke
yuun to sarapa rahte ho ya-hu ban kar
yuun to bayan us husn ka karna tha dushvar
aaya mire ash.ar men kuchh pahlu ban kar
kab kar den sairab kisi ko vo, un ke
sar se ghaTa.en lipTi hain gesu ban kar
un ke ishare yuun bhi qatil hain ‘ḳhalid’
aur qayamat hoti hai abru ban kar
Leave a Reply