ye kaisa kar-e-duniya ho raha hai
lahu insan ka sasta ho raha hai
zara halat kya badle hamare
jo apna tha paraya ho raha hai
dilon ka mail baḌhta ja raha hai
bashar andar se kaala ho raha hai
ghaTa.en ḳhushk hoti ja rahi hain
jo dariya tha vo sahra ho raha hai
yahi hota raha hai ham se akasr
hamare saath jaisa ho raha hai
qadam paḌne lage hain sab ke ulTe
har ik rasta hi TeḌha ho raha hai
‘nabil’-ahmad kabhi dekha hai tum ne
bashar kitna akela ho raha hai
Leave a Reply