aa.e hain dene tasalli vo sambhal jaane ke ba.ad
zindagi ki dhuup ka mausam badal jaane ke ba.ad
hai mira bhi ik masiha dosto tum dekhna
aa.ega lekin vo mera dam nikal jaane ke ba.ad
umr bhar ab qabr par meri dua-ḳhvani karen
chehra-e-iḳhlas par vo ḳhaak mal jaane ke ba.ad
un ke aate bazm men kyuun hosh sab ke uḌ ga.e
duur hota hai andhera sham.a jal jaane ke ba.ad
tegh ke dam par guman tha jin ko apni fat.h ka
mahv-e-hairat hain qalam ka zor chal jaane ke ba.ad
jo nadi itra rahi hai apne dhare par abhi
legi apna ja.eza sagar men Dhal jaane ke ba.ad
is jahan men be-gharaz ‘maqsud’ koi bhi nahin
sab bhula denge tujhe matlab nikal jaane ke ba.ad
Leave a Reply