abla-pa.i se virana mahak jaata hai
kaun phulon se mira rasta Dhak jaata hai
maslahat kahti hai vo aa.e to kyuun aa.e yahan
dil ka ye haal har aahaT pe dhaḌak jaata hai
kya sar-e-sham na lauTunga nasheman ki taraf
kya andhera ho to jugnu bhi bhaTak jaata hai
ek divana bhaTakta hai bagula ban kar
ek aahu kisi vaadi men ThiThak jaata hai
koi avaz kahin guunj ke rah jaati hai
koi aansu kisi aariz pe Dhalak jaata hai
qafila umr ka paiham safar-amada sahi
shajar-e-saya-fagan dekh ke thak jaata hai
‘shaz’ is koshish-e-tamkin pe bahut naaz na kar
ye charagh-e-tah-e-daman bhi bhaḌak jaata hai
Leave a Reply