• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aabla Hai Ki Ghaw Jo Bhi Hai

Aabla Hai Ki Ghaw Jo Bhi Hai

aabla hai ki ghaav jo bhi hai

samne mere laao jo bhi hai

chaak se ab mujhe utaro bhi

meri surat dikhao jo bhi hai

jo nahin us ki kya pareshani

ḳhair us ki manao jo bhi hai

rakh diya hai tumhare chugne ko

dard ki faḳhtao jo bhi hai

ham tire dar se ab na uTThenge

tera ham se subhav jo bhi hai

dost to apne aap bante hain

koi dushman banao jo bhi hai

pa ga.e hain tumhara bhed sabhi

apna bhaav girao jo bhi hai

ishq ki bad-dua lagi hai tumhen

baiThe duniya kamao jo bhi hai

muntazir hain sama.aten sab ki

apni apni sunao jo bhi hai

ye nishani hai ik payambar ki

ye shikasta si naav jo bhi hai

jur.a jur.a main pi raha huun ‘munir’

mere dil men alaav jo bhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sinon Mein umDe Hain Sad-Mauja-E-Gham Rote Hain

Chaman Mein Lala-O-Gul Par Nikhaar Bhi to Nahin

Sach Ko jhuT Bana Jata Hai Baz Auqat

adil-hayat

Abas

Ye Teri KHalq-Nawazi Ka Taqaza Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet