• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Likha Hai Mujhko Bhi Likhna paDa Hai

Likha Hai Mujhko Bhi Likhna paDa Hai

likha hai mujh ko bhi likhna paḌa hai

jahan se hashiya chhoḌa gaya hai

agar manus hai tum se parinda

to phir uḌne ko par kyuun tolta hai

kahin kuchh hai kahin kuchh hai kahin kuchh

mira saman sab bikhra hua hai

main ja baiThun kisi bargad ke niche

sukun ka bas yahi ek rasta hai

qayamat dekhiye meri nazar se

sava neze pe suraj aa gaya hai

shajar jaane kahan ja kar lagega

jise dariya baha kar le gaya hai

abhi to ghar nahin chhoḌa hai main ne

ye kis ka naam taḳhti par likha hai

bahut roka hai is ko pattharon ne

magar paani ko rasta mil gaya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Faiz Aur Faiz Ka Gham Bhulne Wala Hai Kahin

shaKH Mein Sabza Dhup Mein Saya Wapas Aaya

Khulti Hai Guftugu Se Girah Pech-O-Tab Ki

Main Kaun Hun Kya Hun Main Yahi Soch Raha Hun

afeef-siraj

Aapne Aaj Ye Mahfil Jo Sajai Hui Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet