aa ke ab jangal men ye uqda khula
bheḌiye paḌhte nahin hain falsafa
richhni ko sha.eri se kya gharaz
tang hai tahzib hi ka qafiya
khaal chikni ho to dhande hain hazar
gidaḌi ne kab koi doha suna
gorḳhar ki dhariyon ko dekh lo
suiT chaupa.e bhi lete hain sila
lomḌi ki dum ghani kitni bhi ho
satar-poshi ko nahin kahte haya
shahr men un ke jo guzra tha ‘salim’
likh diya hai main ne saara majra
Leave a Reply