• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / do damon Se Hai Faqat Gor-E-Ghariban Aabaad

do damon Se Hai Faqat Gor-E-Ghariban Aabaad

taashshuq-lakhnavi

do damon se hai faqat gor-e-ghariban abad

tum hamesha raho ai hasrat-o-arman abad

tujh se ai dard hai qasr-e-dil-e-viran abad

kiya sar-afraz kiya khana-viran abad

jis jagah baith ke roe vo makan duub gae

shahar hone nahin dete tire giryan abad

qais-o-farhad ke dam se bhi ajab raunaq thi

kuchh dinon khuub rahe koh-o-bayaban abad

vahshat-e-dil ye badhi chhod diye ghar sab ne

tum hue khana-nashin ho gaiin galiyan abad

amad-e-qafila-e-dard-o-alam hai sad-shukr

aaj hoti hai sara-e-dil-e-viran abad

mit gae dagh-e-jigar husn-e-rukh-e-yar gaya

kal ki hai baat ki tha kya ye gulistan abad

tere divanon ke jis dasht se utthe bistar

vahshiyon se na hua phir vo bayaban abad

surat-e-shama hua khak-e-badan jal jal kar

ham ne turbat bhi na ki ai shab-e-hijran abad

sohbaten ho gaiin barbad gul-andamon ki

khaak udti hai vahan the jo gulistan abad

siina o dil men khushi se na jagah thi gham ki

ai ‘taashshuq’ ye makan bhi the kabhi haan abad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Sikka-E-dagh-E-Junun Milte Jo daulat Mangta

Main Hare Mausamon Mein Jalta Raha

Main Khaali Ghar Mein Bhi Tanha Nahin Tha

ambarin-salahuddin

Ek Kahani

Tamam KHushiyan Tamam Sapne Hum Ek Duje Ke Nam Kar Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet