• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aa Gaya Jab Se Nazar Wo Shokh Harjai Mujhe

Aa Gaya Jab Se Nazar Wo Shokh Harjai Mujhe

imam-bakhsh-nasikh

aa gaya jab se nazar vo shokh harjai mujhe

ku-ba-ku dar dar liye phirti hai rusvai mujhe

kaam ashiq ko kisi ki aib-bini se nahin

husn-bini ko khuda ne di hai binai mujhe

jaur sahta huun buton ke na-tavani ke sabab

dil utha luun is qadar kab hai tavanai mujhe

jis tarah aata hai piiri men javani ka khayal

vasl ki shab yaad roz-e-hijr men aai mujhe

ginti ek ik naam ki har gor men murde hain dafn

bad-e-murdan bhi hui dushvar tanhai mujhe

misl-e-saghar bazm-e-alam men main kab khandan hua

kis liye deta hai gardish charkh-e-minai mujhe

ain danai hai ‘nasikh’ ishq men divangi

aap saudai hain jo kahte hain saudai mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pile Pile Chehron Mein Ubhri Hai Aaj Ki Sham

Bahaaron Ko Chaman Yaad Aa Gaya Hai

Koi Aa Kar Sikha Gaya Hai Mujhe

KHwabon Ki Dastaras Mein Na Aankhon Ki Had Mein Hai

Ye Jamal Kya Ye Jalal Kya Ye Uruj Kya Ye Zawal Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet