ham ne sahra ko sajaya tha gulistan ki tarah
tum ne gulshan ko banaya hai bayaban ki tarah
raat ka zahar piye ḳhvab ka anchal oḌhe
kaun hai saath mire gardish-e-dauran ki tarah
DhunDhta phirta huun ab tak bhi hain sahra sahra
usi lamhe ko jo tha fasl-e-baharan ki tarah
maslahat-kosh zamane ka bharosa kya hai
jo bhi milta hai yahan gardish-e-dauran ki tarah
aaj vo lamhe mujhe Daste hain tanha pa kar
kabhi mahbub the jo mujh ko dil-o-jan ki tarah
jaane kya baat hai kyuun jashn-e-masarrat men nadim
yaad aati hai tiri sham-e-ghariban ki tarah
kab talak shahr ki galiyon men phiroge yaaro
asmanon pe uḌo taḳht-e-sulaiman ki tarah
ye to parvanon ke dil hain jo pighal jaate hain
kaun jalta hai yahan sham-e-shabistan ki tarah
kaun ḳhvabon ke jazire se chala aaya ‘ḳhayal’
dil men ik raushni hai sub.h-e-daraḳhshan ki tarah
Leave a Reply