zindagi yuun bhi kabhi mujh ko saza deti hai
ek tasvir kitabon se gira deti hai
aap achchhe hain bure hain ki faqat bar-e-hayat
faisla ḳhalq-e-ḳhuda ḳhud hi suna deti hai
kitne nadida manazir se uThati hai naqab
raat aati hai to ḳhvabon ko jaga deti hai
ab bhi mehrab-e-tamanna men kasak maazi ki
shaam hote hi koi sham.a jala deti hai
ishq hai rog hi aisa ki nahin is ka ilaaj
atish-e-dil ko dava aur baḌha deti hai
sina-e-sang men poshida sada-e-farhad
ek ik zarb pe shirin ka pata deti hai
jis ki aghosh men ham roz mila karte the
ab vahi shaam har ek shaam sada deti hai
main kahan aur kahan sher-o-suḳhan hai ‘zakir’
koi taqat hai jo lafzon ko jila deti hai
Leave a Reply