zindagi sach ki himayat nahin karne deti
aisi koi bhi ibadat nahin karne deti
maslahat aql se kahti hai ki ik had men raho
aur dil ko bhi shararat nahin karne deti
uljhi rahti hai nazar se koi duzdida-nazar
qalb-o-jan ki jo hifazat nahin karne deti
ab to hal-e-dil-e-bimar ḳhuda hi jaane
halat-e-zar ayadat nahin karne deti
ham juda.i men to bezar nahin the aise
kya mohabbat ye rifaqat nahin karne deti
kaam kuchh karne nahin dete riyasat ko bhi ham
aur kuchh ham ko riyasat nahin karne deti
teri jannat ko tarasti hui teri duniya
teri duniya pe qana.at nahin karne deti
tishnagi mohr-ba-lab tishna-labi hai ab to
chashm-e-saqi ki shikayat nahin karne deti
sham-e-jan bhuul ga.i kaise bhaḌak uThna tha
sham-e-gham sub.h-e-qayamat nahin karne deti
irtiqa ki to himayat men ghazal hai ‘pinhan’
bas rivayat se baghavat nahin karne deti
Leave a Reply