• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kar-Nama Ai Gham-e-dil Kuchh Tera Ye Kam Nahin

Kar-Nama Ai Gham-e-dil Kuchh Tera Ye Kam Nahin

aabid-adeeb

kar-nama ai gham-e-dil kuchh tira ye kam nahin

bah gae ankhon se dariya aur ankhen nam nahin

saaf tha har lafz us ki be-badal taqrir ka

phir lahu ne naqsh jo chhode hain vo mub.ham nahin

har zamane men nahin pahchanna mushkil unhen

sar qalam hote rahenge un ke lekin gham nahin

karbala hi ne kiye hain murtasim dil par nuqush

varna is duniya men gham ki vardaten kam nahin

dil hi dil vo bhigi lakdi ki tarah sulga kiya

us ke chehre se to lagta tha ki koi gham nahin

kaifiyat kaisi ajab is shahr ki yadon ki hai

garm hai atish nahin aur sard hai shabnam nahin

ik alag tahzib hai tanhaiyon ke shahr ki

ek hi aalam hamesha aur koi mausam nahin

phir rahe hain log phir hathon men sang-reze liye

aur apne sar men sauda is ghadi kuchh kam nahin

ham se ‘abid’ apne rahbar ko shikayat ye rahi

aankh munde un ke pichhe chalne vaale ham nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dam-Ba-KHud Meri Ana Teri Ada Bhi Dam-Ba-KHud

Yaad Rakhne Ka Bhi Wada Ho Zaruri to Nahin

Jazba-E-Mohabbat Ko Tir-E-Be-KHata Paya

Dam-Ba-Dam baDh Rahi Hai Ye Kaisi Sada Shahr Walo Suno

Aam Mauqon Pe Na Aankhon Mein Ubhaare Aansu

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet