zindagi kya yunhi nashad karegi mujh ko
ya kisi moḌ pe abad karegi mujh ko
yahi duniya ki jise qadr nahin hai meri
yahi duniya ki bahut yaad karegi mujh ko
main ne kal raat use apna badan saunp diya
vo jo kahti thi ki barbad karegi mujh ko
us ka dil misl-e-qafas aur vo sayyad-sifat
jaane kab qaid se azad karegi mujh ko
mar bhi ja.un to mohabbat ki kahani ‘hashim’
phir na.e naam se ijad karegi mujh ko
Leave a Reply