zehn-o-ḳhayal se koi chehra na ja saka
aur us ke aage ham se bhi socha na ja saka
ik jaan thi jo nazr guzari na ja saki
ik qarz tha jo ham se utara na ja saka
ham ne hazar jashn sahar ke mana liye
aur bam-o-dar se raat ka saaya na ja saka
kitne tabah honge ham ik shaḳhs ke liye
ḳhud se kabhi saval ye puchha na ja saka
kuchh pal ko ho gaya tha main bhaḌka hua charagh
kuchh der andhiyon se bhi sambhla na ja saka
bas ik larazta haath mire honT si gaya
aur phir tamam zindagi bola na ja saka
ham us ko saari umr uTha.e phira kiye
jo baar ‘mir’ se bhi uThaya na ja saka
‘tariq’ ye dil bhi hai ḳhat-e-taqdir ki tarah
ham ḳhud badal ga.e ise badla na ja saka
Leave a Reply