dil men umang aur irada koi to ho
be-kaif zindagi men tamasha koi to ho
ye kya ki dafn ho ga.e chup-chap qabr men
marne ke ba.ad maut ka jalsa koi to ho
koi to naam le ke pukare hamen yahan
is bhiiḌ men hamara shanasa koi to ho
milti nahin hai ḳhaak kahin sar pe Dalne
dariya bahut se dekhe hain sahra koi to ho
ankhon men nuur hai na halavat zaban men
ahbab itne saare hain miTha koi to ho
baton se aql-o-fahm ki tang aa chuka huun main
danish-kade men ek divana koi to ho
ye sach hai main huun qaid ḳhayalon men ḳhvab men
jiine ke vaste mire duniya koi to ho
mar kar davam paanv ye ummid to nahin
meri kahani ba.ad men kahta koi to ho
Leave a Reply