• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zeb Usko Ye Aashob-E-Gadai Nahin Deta

Zeb Usko Ye Aashob-E-Gadai Nahin Deta

zeb us ko ye ashob-e-gada.i nahin deta

dil mashvara-e-nasiya-sa.i nahin deta

kis dhund ki chadar men hai lipTi koi avaz

dastak ke siva kuchh bhi suna.i nahin deta

hai ta-hadd-e-imkan koi basti na bayaban

ankhon men koi ḳhvab dikha.i nahin deta

aalam bhi qafas rang hai aisa ki nazar ko

is dam-e-tahayyur se riha.i nahin deta

yadon ko sula deta hai saa.e men shajar ke

vo hausla-e-dard-e-rasa.i nahin deta

dil us ka hatheli pe hai mere liye lekin

hathon men mire dast-e-hina.i nahin deta

ara.ish-e-jan ke liye kaafi nahin vahshat

mujh ko to koi zaḳhm dikha.i nahin deta

is ishq men kuchh sha.iba-e-hirs bhi hoga

main quvvat-e-batin ki safa.i nahin deta

raushan hai shab-e-hijr ba-andaz-e-ta.alluq

vo mehr-e-nazar dagh-e-juda.i nahin deta

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tere Dayar Talak Yun to Aa Hi Jate Hain

Apni Gumshudgi Ki Afwahen Main Phailata Raha

KHamoshiyon Mein Bahut Se Sawal Laya Hai

khumar-barabankavi

Akele Hain Wo Aur Jhunjhla Rahe Hain

Is Waqt Apne Tewar Pure Shabab Par Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet