zauq-e-sajda ek naqsh-e-kamran banta gaya
astan par un ke mera astan banta gaya
be-nishani ke sahare par nishan banta gaya
zamin-e-manzil ghubar-e-karvan banta gaya
qudratan barbadiyon ki dastan banta gaya
ḳhud-baḳhud bijli ki zad men ashiyan banta gaya
kya ḳhata sayyad ki aur baghban ka kya qusur
gulsitan men ḳhud tu nang-e-gulistan banta gaya
va-e-mahrumi-e-ulfat un ka gham bhi to nadim
bad-nasibi se nasib-e-dushmanan banta gaya
mujh se kya kahte ho ab duniya jo kahti hai kahe
tum karam karte ga.e main dastan banta gaya
hamil-e-ta.amir thi taḳhrib-e-paiham ai ‘shifa’
ashiyan miT miT ke naqsh-e-ashiyan bata gaya
Leave a Reply